Jaane kis samt se aati hai achanak tiri yaad / जाने किस सम्त से आती है अचानक तिरी याद

by Jawad Sheikh
4/5 - (2 votes)
Jaane kis samt se aati hai achanak tiri yaad
aur phir kuchh bhi simatne mein nahin aata hai.!

Khud ko masroof kiye rakhne ki koshish karna
kya tiri yaad ke zumre mein nahin aata hai .!

Theek se kah nahin sakta ki wo kya hai lekin
kuchh toh aisa hai jo hone mein nahin aata hai .!!

जाने किस सम्त से आती है अचानक तिरी याद
और फिर कुछ भी सिमटने में नहीं आता है।

ख़ुद को मसरूफ़ किए रखने की कोशिश करना
क्या तिरी याद के ज़ुमरे में नहीं आता है।

ठीक से कह नहीं सकता कि वो क्या है लेकिन
कुछ तो ऐसा है जो होने में नहीं आता है।।