Hue sab ke jahan mein ek jab apna jahan aur hum | हुए सब के जहाँ में एक जब अपना जहाँ और हम

by Nida Fazli
4.5/5 - (2 votes)
Hue sab ke jahan mein ek jab apna jahan aur hum
musalsal ladte rahte hain zameen-o-aasmañ aur hum .!

Kabhi aakash ke taare zameen par bolte bhi thay
kabhi aisa bhi tha jab saath thin tanhaaiyan aur hum .!

Sabhi ik dusre ke dukh mein sukh mein rote hanste thay
kabhi thay ek ghar ke chaand sooraj naddiyan aur hum .!

MoArriḳh ki qalam ke chand lafzon si hai ye duniya
badalti hai har ik yug mein humari daastan aur hum .!

Daraḳhton ko hara rakhne ke zimmedar thay donon
jo sach poochho barabar ke hain mujrim baghban aur hum .!!

हुए सब के जहाँ में एक जब अपना जहाँ और हम
मुसलसल लड़ते रहते हैं ज़मीन-ओ-आसमाँ और हम।

कभी आकाश के तारे ज़मीं पर बोलते भी थे
कभी ऐसा भी था जब साथ थीं तन्हाइयाँ और हम।

सभी इक दूसरे के दुख में सुख में रोते हँसते थे
कभी थे एक घर के चाँद सूरज नद्दियाँ और हम।

मोअर्रिख़ की क़लम के चंद लफ़्ज़ों सी है ये दुनिया
बदलती है हर इक युग में हमारी दास्ताँ और हम।

दरख़्तों को हरा रखने के ज़िम्मेदार थे दोनों
जो सच पूछो बराबर के हैं मुजरिम बाग़बाँ और हम।।