Har chamakti qurbat mein ek faasla dekhun | हर चमकती क़ुर्बत में एक फ़ासला देखूँ

by Nida Fazli
4.5/5 - (2 votes)
Har chamakti qurbat mein ek faasla dekhun
kaun aane waala hai kis ka rasta dekhun .!

Shaam ka dhundlaka hai ya udaas mamta hai
bhooli-bisri yaadon se phootti dua dekhun .!

Masjidon mein sajdon ki mishAlen huin raushan
be-charagh galiyon mein khelta khuda dekhun .!

Lahar lahar paani mein doobta hua sooraj
kaun mujh mein dar aaya uth ke aaina dekhun .!

Lahlahaate mausam mein tera zikr-e-shadabi
shaaḳh shaaḳh par tere naam ko hara dekhun .!!

हर चमकती क़ुर्बत में एक फ़ासला देखूँ
कौन आने वाला है किस का रास्ता देखूँ।

शाम का धुँदलका है या उदास ममता है
भूली-बिसरी यादों से फूटती दुआ देखूँ।

मस्जिदों में सज्दों की मिशअलें हुईं रौशन
बे-चराग़ गलियों में खेलता ख़ुदा देखूँ।

लहर लहर पानी में डूबता हुआ सूरज
कौन मुझ में दर आया उठ के आइना देखूँ।

लहलहाते मौसम में तेरा ज़िक्र-ए-शादाबी
शाख़ शाख़ पर तेरे नाम को हरा देखूँ।।