Hamen tahaffuz ka khabt chhupne ki lat nahin thi [ Umair Najmi Ghazal

Hamen tahaffuz ka khabt chhupne ki lat nahin thi : Umair Najmi Ghazal

Hamen tahaffuz ka khabt chhupne ki lat nahin thi
falak se rabt ustuwaar tha ghar ki chhat nahin thi .!

Main kaarobar-e-junun ko ab tark kar chuka hoon
wo kaam achchha tha lekin us mein bachat nahin thi .!

Woh shaḳhs bhi sher tha koi sehl-e-mumtana mein
nahin khula garche us ki koi parat nahin thi .!

Bahut sa gham is liye munafa ghata ke becha
kiya tha jitna dar-aamad utni khapat nahin thi .!

Ik aur ishq aa gaya tha dauraan-e-hijr taala
mumaaniaat toh nahin thi mujh mein sakat nahin thi .!

Humara chehra bahut si aankhon ka peer hai ab
wo aankhen jin ko malaal ki maarifat nahin thi .!

Bhala ho nam ka ki ik jagah par bitha diya hai
wagarna mujh gard ki zameen se jaḍat nahin thi .!!

हमें तहफ़्फ़ुज़ का खब्त छुपने की लत नहीं थी : उमैर नजमी ग़ज़ल

हमें तहफ़्फ़ुज़ का खब्त छुपने की लत नहीं थी
फ़लक से रब्त उस्तुवार था घर की छत नहीं थी।

मैं कारोबार-ए-जुनूँ को अब तर्क कर चुका हूँ
वो काम अच्छा था लेकिन उस में बचत नहीं थी।

वो शख़्स भी शेर था कोई सेहल-ए-मुमतना में
नहीं खुला गरचे उस की कोई परत नहीं थी।

बहुत सा ग़म इस लिए मुनाफ़ा घटा के बेचा
किया था जितना दर-आमद उतनी खपत नहीं थी।

इक और इश्क़ आ गया था दौरान-ए-हिज्र टाला
मुमानिअत तो नहीं थी मुझ में सकत नहीं थी।

हमारा चेहरा बहुत सी आँखों का पीर है अब
वो आँखें जिन को मलाल की मारिफ़त नहीं थी।

भला हो नम का कि इक जगह पर बिठा दिया है
वगर्ना मुझ गर्द की ज़मीं से जड़त नहीं थी।।