Gale lagaaye mujhe mera raazdan ho jaaye | गले लगाए मुझे मेरा राज़दाँ हो जाए

by Abid Malik
Gale lagaaye mujhe mera raazdan ho jaaye
kisi tarah ye shajar mujh pe mehrbaan ho jaaye .!

Sitaare jhaaḍ ke baalon se ab ye kahta hoon
koi zameen pe rah kar na aasmaan ho jaaye .!

Isi liye toh udaasi se guftugu nahin ki
kahin wo baat na baaton ke darmiyaan ho jaaye .!

Ye zakhm aise nahin hain ki jo dikhaaye tumhen
ye ranj aisa nahin hai ki jo bayaan ho jaaye .!

Bula raha hai koi aasmaan ki khidki se
so aaj khaak-nashin tera imtihan ho jaaye .!!

गले लगाए मुझे मेरा राज़दाँ हो जाए
किसी तरह ये शजर मुझ पे मेहरबाँ हो जाए।

सितारे झाड़ के बालों से अब ये कहता हूँ
कोई ज़मीन पे रह कर न आसमाँ हो जाए।

इसी लिए तो उदासी से गुफ़्तुगू नहीं की
कहीं वो बात न बातों के दरमियाँ हो जाए।

ये ज़ख़्म ऐसे नहीं हैं कि जो दिखाएँ तुम्हें
ये रंज ऐसा नहीं है कि जो बयाँ हो जाए।

बुला रहा है कोई आसमाँ की खिड़की से
सो आज ख़ाकनशीं तेरा इम्तिहाँ हो जाए।।