Farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha | फ़रिश्तों से भी अच्छा मैं बुरा होने से पहले था

by Anwar Shaoor
Farishton se bhi achchha main bura hone se pahle tha
woh mujh se intihaai khush khafa hone se pahle tha .!

Kiya karte thay baaten zindagi bhar saath dene ki
magar ye hausla hum mein juda hone se pahle tha .!

Haqeeqat se khayal achchha hai bedari se khwab achchha
tasawwur mein woh kaisa saamna hone se pahle tha .!

Agar maadum ko maujood kahne mein taAmmul hai
toh jo kuchh bhi yahan hai aaj kya hone se pahle tha .!

Kisi bichhḍe hue ka laut aana ghair-mumkin hai
mujhe bhi ye gumaan ik tajraba hone se pahle tha .!

shuoor’ is se hamen kya intiha ke baad kya hoga
bahut hoga toh wo jo ibtida hone se pahle tha .!!

फ़रिश्तों से भी अच्छा मैं बुरा होने से पहले था
वो मुझ से इंतिहाई ख़ुश ख़फ़ा होने से पहले था।

किया करते थे बातें ज़िंदगी भर साथ देने की
मगर ये हौसला हम में जुदा होने से पहले था।

हक़ीक़त से ख़याल अच्छा है बेदारी से ख़्वाब अच्छा
तसव्वुर में वो कैसा सामना होने से पहले था।

अगर मादूम को मौजूद कहने में तअम्मुल है
तो जो कुछ भी यहाँ है आज क्या होने से पहले था।

किसी बिछड़े हुए का लौट आना ग़ैर-मुमकिन है
मुझे भी ये गुमाँ इक तजरबा होने से पहले था।

शुऊर’ इस से हमें क्या इंतिहा के बाद क्या होगा
बहुत होगा तो वो जो इब्तिदा होने से पहले था।।