Ek mohabbat ke hawale se mujhe jaante hain / इक मोहब्बत के हवाले से मुझे जानते हैं

by Jawad Sheikh
4.7/5 - (3 votes)
Ek mohabbat ke hawale se mujhe jaante hain
wo sabhi log jo achchhe se mujhe jaante hain .!

Aam logon mein udaasi hai taAaruf mera
aur shaair mire lahje se mujhe jaante hain .!

Sone waalon se bhi nisbat koi hogi meri
jaagne waale toh girye se mujhe jaante hain .!

Sab ne rakkhi hui hai koi nishaani meri
jaise kuchh aankh ke halqe se mujhe jaante hain .!

Main kisi aur taalluq se unhen dekhta hoon
wo kisi aur ilaaqe se mujhe jaante hain .!

Sach toh ye hai ki mujhe log nahin jaan sake
khaas kar jo baḍe daawe se mujhe jaante hain .!!

इक मोहब्बत के हवाले से मुझे जानते हैं
वो सभी लोग जो अच्छे से मुझे जानते हैं।

आम लोगों में उदासी है तआरुफ़ मेरा
और शाइर मिरे लहजे से मुझे जानते हैं।

सोने वालों से भी निस्बत कोई होगी मेरी
जागने वाले तो गिर्ये से मुझे जानते हैं।

सब ने रक्खी हुई है कोई निशानी मेरी
जैसे कुछ आँख के हल्क़े से मुझे जानते हैं।

मैं किसी और तअल्लुक़ से उन्हें देखता हूँ
वो किसी और इलाक़े से मुझे जानते हैं।

सच तो ये है कि मुझे लोग नहीं जान सके
ख़ास कर जो बड़े दावे से मुझे जानते हैं।।