Dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila | दरिया-दिली से अब्र-ए-करम भी नहीं मिला

Dariya-dili se abr-e-karam bhi nahin mila
lekin mujhe naseeb se kam bhi nahin mila .!

Phir ungliyon ko khoon mein dubona paḍa hamen
jab hum ko maangne pe qalam bhi nahin mila .!

Sach bolne ki raah mein tanha hamin mile
is raste mein shaiḳh-e-haram bhi nahin mila .!

Maine toh saari umr nibhaayi hai dosti
wo mujh se kha ke meri qasam bhi nahin mila .!

Dil ko khushi bhi had se ziyada nahin mili
kaase ke aitbaar se gham bhi nahin mila .!!

दरिया-दिली से अब्र-ए-करम भी नहीं मिला
लेकिन मुझे नसीब से कम भी नहीं मिला।

फिर उँगलियों को ख़ूँ में डुबोना पड़ा हमें
जब हम को माँगने पे क़लम भी नहीं मिला।

सच बोलने की राह में तन्हा हमीं मिले
इस रास्ते में शैख़-ए-हरम भी नहीं मिला।

मैंने तो सारी उम्र निभाई है दोस्ती
वो मुझ से खा के मेरी क़सम भी नहीं मिला।

दिल को ख़ुशी भी हद से ज़ियादा नहीं मिली
कासे के एतिबार से ग़म भी नहीं मिला।।