Dard ho dil mein toh dawa keeje | दर्द हो दिल में तो दवा कीजे

by Manzar Lakhnavi
Dard ho dil mein toh dawa keeje
aur jo dil hi na ho to kya keeje .!

Ghum mein kuchh ghum ka mashahala keeje
dard ki dard se dawa keeje .!

Aap aur ahd-e-pur-wafa keeje
tauba tauba khuda khuda keeje .!

Dekhta hoon jo hashr ke asar
apne tewar mulaahiza keeje .!

Nazar-e-iltifat ban gayi maut
miri qismat ko aap kya keeje .!

Dekhiye maqtaza-e-haal-e-mareez
ab dawa chhoḍiye dawa keeje .!

Chaar din ki hayaat mein ‘manzar
kyon kisi se bhi dil bura keeje .!!

दर्द हो दिल में तो दवा कीजे
और जो दिल ही न हो तो क्या कीजे।

ग़म में कुछ ग़म का मशग़ला कीजे
दर्द की दर्द से दवा कीजे।

आप और अहद-ए-पुर-वफ़ा कीजे
तौबा तौबा ख़ुदा ख़ुदा कीजे।

देखता हूँ जो हश्र के आसार
अपने तेवर मुलाहिज़ा कीजे।

नज़र-ए-इल्तिफ़ात बन गई मौत
मिरी क़िस्मत को आप क्या कीजे।

देखिए मुक़तज़ा-ए-हाल-ए-मरीज़
अब दवा छोड़िए दवा कीजे।

चार दिन की हयात में ‘मंज़र
क्यूँ किसी से भी दिल बुरा कीजे।।