Apni tanhaai mire naam pe aabaad kare | अपनी तन्हाई मिरे नाम पे आबाद करे

by Parveen Shakir
4.7/5 - (3 votes)
Apni tanhaai mire naam pe aabaad kare
kaun hoga jo mujhe us ki tarah yaad kare .!

Dil ajab shahr ki jis par bhī khulā dar is kā
wo musaafir ise har samt se barbaad kare .!

Apne qatil ki zehanat se pareshan hoon main
roz ik maut naye tarz ki ijaad kare .!

Itna hairan ho miri be-talabi ke aage
wa qafas mein koi dar khud mira sayyad kare .!

Salb-e-binaai ke ahkaam mile hain jo kabhi
raushni chhune ki khwahish koi shab-zad kare .!

Soch rakhna bhi jaraayem mein hai shamil ab toh
wahi maasum hai har baat pe jo saad kare .!

Jab lahoo bol paḍe us ke gawaahon ke ḳhilaf
qaazi-e-shahar kuchh is baab mein irshad kare .!

Us ki mutthi mein bahut roz raha mera wajood
mere saahir se kaho ab mujhe aazad kare .!!

अपनी तन्हाई मिरे नाम पे आबाद करे
कौन होगा जो मुझे उस की तरह याद करे।

दिल अजब शहर कि जिस पर भी खुला दर इस का
वो मुसाफ़िर इसे हर सम्त से बरबाद करे।

अपने क़ातिल की ज़ेहानत से परेशान हूँ मैं
रोज़ इक मौत नए तर्ज़ की ईजाद करे।

इतना हैराँ हो मिरी बे-तलबी के आगे
वा क़फ़स में कोई दर ख़ुद मिरा सय्याद करे।

सल्ब-ए-बीनाई के अहकाम मिले हैं जो कभी
रौशनी छूने की ख़्वाहिश कोई शब-ज़ाद करे।

सोच रखना भी जराएम में है शामिल अब तो
वही मासूम है हर बात पे जो साद करे।

जब लहू बोल पड़े उस के गवाहों के ख़िलाफ़
क़ाज़ी-ए-शहर कुछ इस बाब में इरशाद करे।

उस की मुट्ठी में बहुत रोज़ रहा मेरा वजूद
मेरे साहिर से कहो अब मुझे आज़ाद करे।।