Apna ghum le ke kahin aur na jaaya jaaye / अपना ग़म ले के कहीं और न जाया जाए

by Nida Fazli
5/5 - (2 votes)
Apna ghum le ke kahin aur na jaaya jaaye
ghar mein bikhri hui cheezon ko sajaya jaaye .!

Jin charaġhon ko hawaon ka koi ḳhauf nahin
un charaġhon ko hawaon se bachaya jaaye .!

Ḳhud-kushī karne kī himmat nahin hoti sab mein
aur kuchh din abhi auron ko sataya jaaye .!

Baaġh mein jaane ke aadab hua karte hain
kisi titli ko na phoolon se uḍaya jaaye .!

Kya hua shahar ko kuchh bhi toh dikhaayi de kahin
yun kiya jaaye kabhi khud ko rulaaya jaaye .!

Ghar se masjid hai bahut door chalo yun kar lein
kisi rote hue bachche ko hansaaya jaaye .!!

अपना ग़म ले के कहीं और न जाया जाए
घर में बिखरी हुई चीज़ों को सजाया जाए।

जिन चराग़ों को हवाओं का कोई ख़ौफ़ नहीं
उन चराग़ों को हवाओं से बचाया जाए।

ख़ुदकुशी करने की हिम्मत नहीं होती सब में
और कुछ दिन अभी औरों को सताया जाए।

बाग़ में जाने के आदाब हुआ करते हैं
किसी तितली को न फूलों से उड़ाया जाए।

क्या हुआ शहर को कुछ भी तो दिखाई दे कहीं
यूँ किया जाए कभी ख़ुद को रुलाया जाए।

घर से मस्जिद है बहुत दूर चलो यूँ कर लें
किसी रोते हुए बच्चे को हँसाया जाए।।