Aks kitne utar gaye mujh mein | अक्स कितने उतर गए मुझ में

by Ammar Iqbal
4.7/5 - (4 votes)
Aks kitne utar gaye mujh mein
phir na jaane kidhar gaye mujh mein .!

Maine chaha tha zakhm bhar jaayen
zakhm hi zakhm bhar gaye mujh mein .!

Main wo pal tha jo kha gaya sadiyaan
sab zamaane guzar gaye mujh mein .!

Ye jo main hoon zara sa baaqi hoon
wo jo tum thay wo mar gaye mujh mein .!

Mere andar thi aisi taariki
aa ke aaseb dar gaye mujh mein .!

Pahle utra main dil ke dariya mein
phir samundar utar gaye mujh mein .!

Kaisa mujh ko bana diya ‘ammar
kaun sa rang bhar gaye mujh mein .!!

अक्स कितने उतर गए मुझ में
फिर न जाने किधर गए मुझ में।

मैंने चाहा था ज़ख़्म भर जाएँ
ज़ख़्म ही ज़ख़्म भर गए मुझ में।

मैं वो पल था जो खा गया सदियाँ
सब ज़माने गुज़र गए मुझ में।

ये जो मैं हूँ ज़रा सा बाक़ी हूँ
वो जो तुम थे वो मर गए मुझ में।

मेरे अंदर थी ऐसी तारीकी
आ के आसेब डर गए मुझ में।

पहले उतरा मैं दिल के दरिया में
फिर समुंदर उतर गए मुझ में।

कैसा मुझ को बना दिया ‘अम्मार
कौन सा रंग भर गए मुझ में।।