Achchha toh tum aise the | अच्छा तो तुम ऐसे थे

by Shariq Kaifi
Achchha toh tum aise the
door se kaise lagte the .!

Haath tumhare shaal mein bhi
kitne thande rahte the .!

Saamne sab ke us se hum
khinche khinche se rahte the .!

Aankh kahin par hoti thi
baat kisi se karte the .!

Qurbat ke un lamhon mein
hum kuchh aur hi hote the .!

Saath mein rah kar bhi us se
chalte waqt hi milte the .!

Itne baḍe ho ke bhi hum
bachchon jaisa rote the .!

Jald hi us ko bhool gaye
aur bhi dhoke khaane the .!!

अच्छा तो तुम ऐसे थे
दूर से कैसे लगते थे।

हाथ तुम्हारे शाल में भी
कितने ठंडे रहते थे।

सामने सब के उस से हम
खिंचे खिंचे से रहते थे।

आँख कहीं पर होती थी
बात किसी से करते थे।

क़ुर्बत के उन लम्हों में
हम कुछ और ही होते थे।

साथ में रह कर भी उस से
चलते वक़्त ही मिलते थे।

इतने बड़े हो के भी हम
बच्चों जैसा रोते थे।

जल्द ही उस को भूल गए
और भी धोके खाने थे।।