Ab khushi hai na koi dard rulaane waala / अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला

by Nida Fazli
5/5 - (2 votes)
Ab khushi hai na koi dard rulaane waala
hum ne apna liya har rang zamaane waala .!

Ek be-chehra sī ummeed hai chehra chehra
jis taraf dekhiye aane ko hai aane waala .!

Us ko ruḳhsat toh kiya tha mujhe maalum na tha
saara ghar le gaya ghar chhoḍ ke jaane waala .!

Door ke chaand ko dhundo na kisī aanchal mein
ye ujaala nahīn aangan mein samaane waala .!

Ik musafir ke safar jaisi hai sab ki duniya
koi jaldi mein koi der se jaane waala .!!

अब ख़ुशी है न कोई दर्द रुलाने वाला
हम ने अपना लिया हर रंग ज़माने वाला।

एक बे-चेहरा सी उम्मीद है चेहरा चेहरा
जिस तरफ़ देखिए आने को है आने वाला।

उस को रुख़्सत तो किया था मुझे मालूम न था
सारा घर ले गया घर छोड़ के जाने वाला।

दूर के चाँद को ढूँडो न किसी आँचल में
ये उजाला नहीं आँगन में समाने वाला।

इक मुसाफ़िर के सफ़र जैसी है सब की दुनिया
कोई जल्दी में कोई देर से जाने वाला।।