Ab is se badh ke karun kya kharab main us ko | अब इस से बढ़ के करूँ क्या ख़राब मैं उस को

Ab is se badh ke karun kya kharab main us ko : Umair Najmi Ghazal

Ab is se badh ke karun kya kharab main us ko
ki theek lagne laga hoon janaab main us ko .!

Main ek peḍ tale baithta hoon rota hoon
woh chhaanv deta hai mujh ko aur aab main us ko .!

Woh chahta hai ki naakaam ho mohabbat mein
na hone dunga kabhi kaamyaab main us ko .!

Nadi mein dekhta ḳhud ko woh aur dekhte the
daraḳht ghaas darinde gulaab main us ko .!

Shaben toh neend se aari thi donon ki lekin
woh roz mujh ko sunaata tha khwaab main us ko .!

Diya na waqt tak us ko sawaal karne ka
samajh raha tha ki dunga jawaab main us ko .!

Woh girvi rakh bhi chuka do tihaaiĪ jab ki ‘umair
hua nahin hoon abhi dastyaab main us ko .!!

अब इस से बढ़ के करूँ क्या ख़राब मैं उस को : उमैर नजमी ग़ज़ल

अब इस से बढ़ के करूँ क्या ख़राब मैं उस को
कि ठीक लगने लगा हूँ जनाब मैं उस को।

मैं एक पेड़ तले बैठता हूँ रोता हूँ
वो छाँव देता है मुझ को और आब मैं उस को।

वो चाहता है कि नाकाम हो मोहब्बत में
न होने दूँगा कभी कामयाब मैं उस को।

नदी में देखता ख़ुद को वो और देखते थे
दरख़्त घास दरिंदे गुलाब मैं उस को।

शबें तो नींद से आरी थीं दोनों की लेकिन
वो रोज़ मुझ को सुनाता था ख़्वाब मैं उस को।

दिया न वक़्त तक उस को सवाल करने का
समझ रहा था कि दूँगा जवाब मैं उस को।

वो गिरवी रख भी चुका दो तिहाई जब कि ‘उमैर
हुआ नहीं हूँ अभी दस्तयाब मैं उस को।।