Aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin / आप जैसों के लिए इस में रखा कुछ भी नहीं

by Jawad Sheikh
5/5 - (1 vote)
Aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin
lekin aisa toh na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin .!

Aap kahiye toh nibhaate chale jaayenge magar
is taalluq mein aziyyat ke siwa kuchh bhi nahin .!

Main kisi tarah bhi samjhota nahin kar sakta
ya toh sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin .!

Kaise jaana hai, kahan jaana hai, kyon jaana hai
hum ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin .!

Haaye is shehar ki raunak ke main sadqe jaaun
aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin .!

Phir koi taaza sukhan dil mein jagah karta hai
jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin .!

Ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhun
maan leta hoon ki us shakhs mein tha kuchh bhi nahin .!

Maine duniya se alag reh ke bhi dekha ‘jawwad
Aisi munh-zor udaasi ki dawa kuchh bhi nahin .!!

आप जैसों के लिए इस में रखा कुछ भी नहीं
लेकिन ऐसा तो न कहिए कि वफ़ा कुछ भी नहीं।

आप कहिए तो निभाते चले जाएँगे मगर
इस तअल्लुक़ में अज़िय्यत के सिवा कुछ भी नहीं।

मैं किसी तरह भी समझौता नहीं कर सकता
या तो सब कुछ ही मुझे चाहिए या कुछ भी नहीं।

कैसे जाना है कहाँ जाना है क्यूँ जाना है
हम कि चलते चले जाते हैं पता कुछ भी नहीं।

हाए इस शहर की रौनक़ के मैं सदक़े जाऊँ
ऐसी भरपूर है जैसे कि हुआ कुछ भी नहीं।

फिर कोई ताज़ा सुख़न दिल में जगह करता है
जब भी लगता है कि लिखने को बचा कुछ भी नहीं।

अब मैं क्या अपनी मोहब्बत का भरम भी न रखूँ
मान लेता हूँ कि उस शख़्स में था कुछ भी नहीं।

मैं ने दुनिया से अलग रह के भी देखा ‘जव्वाद
ऐसी मुँह-ज़ोर उदासी की दवा कुछ भी नहीं।।