Aankh bhar aayi kisi se jo mulaqaat hui | आँख भर आई किसी से जो मुलाक़ात हुई

by Manzar Bhopali
Aankh bhar aayi kisi se jo mulaqaat hui
khushk mausam tha magar toot ke barsaat hui .!

Din bhi dooba ki nahin ye mujhe maaloom nahin
jis jagah bujh gaye aakhon ke diye raat hui .!

Koi hasrat koi armaan koi khwahish hi na thi
aise aalam mein miri khud se mulaqaat hui .!

Ho gaya apne paḍosi ka paḍosi dushman
adamiyyat bhi yahan nazr-e-faasadaat hui .!

Isi honi ko toh qismat ka likha kahte hain
jeetne ka jahan mauqa tha wahin maat hui .!

Is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile
aur jawani mein buḍhaape se mulaqaat hui .!!

आँख भर आई किसी से जो मुलाक़ात हुई
ख़ुश्क मौसम था मगर टूट के बरसात हुई।

दिन भी डूबा कि नहीं ये मुझे मालूम नहीं
जिस जगह बुझ गए आँखों के दिए रात हुई।

कोई हसरत कोई अरमाँ कोई ख़्वाहिश ही न थी
ऐसे आलम में मिरी ख़ुद से मुलाक़ात हुई।

हो गया अपने पड़ोसी का पड़ोसी दुश्मन
आदमिय्यत भी यहाँ नज़्र-ए-फ़सादात हुई।

इसी होनी को तो क़िस्मत का लिखा कहते हैं
जीतने का जहाँ मौक़ा था वहीं मात हुई।

इस तरह गुज़रा है बचपन कि खिलौने न मिले
और जवानी में बुढ़ापे से मुलाक़ात हुई।।