Khumaar-e mausam-e khushbu had-e chaman mein khula / ख़ुमार-ए-मौसम ए-ख़ुश्बू हद-ए चमन में खुला

Khumaar-e mausam-e khushbu had-e chaman mein khula – Mohsin Naqvi

Khumaar-e mausam-e khushbu had-e chaman mein khula
meri ghazal ka khazana tere badan mein khula .!

Tum us ka husn kabhi us ki bazm mein dekho
ki mahtaab sada shab ke pairhan mein khula .!

Ajab nasha tha magar us ki bakhshish-e lab mein
ki yun toh hum se bhi kya kya na woh sukhan mein khula .!

Na poochh pehli mulaqaat mein mizaaj us ka
woh rang rang mein simataa kiran kiran mein khula .!

Badan ki chaap nigah ki zaban bhi hoti hai
ye bhed hum pe magar us ki anjuman mein khula .!

Ki jaise abr hawa ki girah se khul jaaye
safar ki shaam mera meherbaan thakan mein khula .!

Kahun main kis se nishaani thi kis maseeha ki
woh ek zakhm ki mohsin’ mere qafan mein khula .!!

ख़ुमार-ए-मौसम ए-ख़ुश्बू हद-ए चमन में खुला – मोहसिन नक़वी

ख़ुमार-ए-मौसम ए-ख़ुश्बू हद-ए चमन में खुला
मेरी ग़ज़ल का ख़ज़ाना तेरे बदन में खुला।

तुम उस का हुस्न कभी उस की बज़्म में देखो
कि माहताब सदा शब के पैरहन में खुला।

अजब नशा था मगर उस की बख़्शिश-ए लब में
कि यूँ तो हम से भी क्या क्या न वो सुख़न में खुला।

न पूछ पहली मुलाक़ात में मिज़ाज उस का
वो रंग रंग में सिमटा किरन किरन में खुला।

बदन की चाप निगह की ज़बाँ भी होती है
ये भेद हम पे मगर उस की अंजुमन में खुला।

कि जैसे अब्र हवा की गिरह से खुल जाए
सफ़र की शाम मेरा मेहरबाँ थकन में खुला।

कहूँ मैं किस से निशानी थी किस मसीहा की
वो एक ज़ख़्म कि मोहसिन’ मेरे कफ़न में खुला।।

Leave a Comment