Rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e shaam / रंगों की वहशतों का तमाशा थी बाम-ए शाम

Rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e shaam – Munir Niazi

Rangon ki wahshaton ka tamasha thi baam-e shaam
taari tha har makaan pe jalaal-e dawaam-e shaam .!

Guldasta-e jihaat tha nairang-e raah-e ishq
tha ek tilism-e husn-e khayaabaan-e daam-e shaam .!

Aage ki manzilon ki taraf shaam ka safar
jaise shabon ke dil mein tha shehr-e qayaam-e shaam .!

Baandhe hue hain waqt sabhi us ke hukm mein
hai jis khuda ke haath mein kaar-e nizaam-e shaam .!

Dhundhla gayi hai shaam shab-e khaam se ‘muneer
khaali hua kashish ki sharaabon se jaam-e shaam .!!

रंगों की वहशतों का तमाशा थी बाम-ए शाम – मुनीर नियाज़ी

रंगों की वहशतों का तमाशा थी बाम-ए शाम
तारी था हर मकाँ पे जलाल-ए दवाम-ए शाम।

गुलदस्ता-ए जिहात था नैरंग-ए राह-ए इश्क़
था इक तिलिस्म-ए हुस्न-ए ख़याबान-ए दाम-ए शाम।

आगे की मंज़िलों की तरफ़ शाम का सफ़र
जैसे शबों के दिल में था शहर-ए क़याम-ए शाम।

बाँधे हुए हैं वक़्त सभी उस के हुक्म में
है जिस ख़ुदा के हाथ में कार-ए निज़ाम-ए शाम।

धुँदला गई है शाम शब-ए ख़ाम से ‘मुनीर
ख़ाली हुआ कशिश की शराबों से जाम-ए शाम।।

Leave a Comment