Fasurda kar gaya agle zamaanon se guzarna / फ़सुर्दा कर गया अगले ज़मानों से गुज़रना

by Shariq Kaifi
4/5 - (1 vote)
Fasurda kar gaya agle zamaanon se guzarna
hawa ki shakl mein khali makaanon se guzarna .!

Dhuan bojhal faza-e-maikada aur phir achanak
kisi besaḳhta jumle ka kaanon se guzarna .!

Kisi aaseb ko mitti nahin deta hai koi
hamen mar kar bhi hai apne hi shaanon se guzarna .!

Ye jokham hi naye kuchh rang bhar sakta hai shab mein
mira is waqt dushman ke thikaanon se guzarna .!

Kisi patthar ki surat saḳht-o-sakit hoon abhi main
abhi baaqi hai mera khaakdaanon se guzarna .!

Abhi unchaai par nazren hain lekin wapsi mein
giran hoga bahut aisi dhalaanon se guzarna .!!

फ़सुर्दा कर गया अगले ज़मानों से गुज़रना
हवा की शक्ल में ख़ाली मकानों से गुज़रना।

धुआँ बोझल फ़ज़ा-ए-मयकदा और फिर अचानक
किसी बे-साख़्ता जुमले का कानों से गुज़रना।

किसी आसेब को मिट्टी नहीं देता है कोई
हमें मर कर भी है अपने ही शानों से गुज़रना।

ये जोखम ही नए कुछ रंग भर सकता है शब में
मिरा इस वक़्त दुश्मन के ठिकानों से गुज़रना।

किसी पत्थर की सूरत सख़्त-ओ-साकित हूँ अभी मैं
अभी बाक़ी है मेरा ख़ाक-दानों से गुज़रना।

अभी ऊँचाई पर नज़रें हैं लेकिन वापसी में
गिराँ होगा बहुत ऐसी ढलानों से गुज़रना।।