Kuchh saghar chhalkaane tak mahdud raha / कुछ साग़र छलकाने तक महदूद रहा

by Shariq Kaifi
4/5 - (1 vote)
Kuchh saghar chhalkaane tak mahdud raha
ghar ka ġham maiḳhaane tak mahdud raha .!

Beech-beech mein mera hosh mein aana bhi
manzar ko dhundlaane tak mahdud raha .!

Aaj ka qissa shahzade ki baaton mein
pariyon ke aa jaane tak mahdud raha .!

Shahr ki sarhad chand qadam par thi lekin
deewana veeraane tak mahdud raha .!

Saaf thi us ki har aahat har saans magar
main khud ko chaunkaane tak mahdud raha .!

Ruk ruk kar aati saanson ka dhoka bhi
sirf use jhutlaane tak mahdud raha .!!

कुछ साग़र छलकाने तक महदूद रहा
घर का ग़म मयख़ाने तक महदूद रहा।

बीच-बीच में मेरा होश में आना भी
मंज़र को धुँदलाने तक महदूद रहा।

आज का क़िस्सा शहज़ादे की बातों में
परियों के आ जाने तक महदूद रहा।

शहर की सरहद चंद क़दम पर थी लेकिन
दीवाना वीराने तक महदूद रहा।

साफ़ थी उस की हर आहट हर साँस मगर
मैं ख़ुद को चौंकाने तक महदूद रहा।

रुक रुक कर आती साँसों का धोका भी
सिर्फ़ उसे झुटलाने तक महदूद रहा।।