Saaqiya ek nazar jaam se pahle pahle / साक़िया एक नज़र जाम से पहले पहले

by Ahmad Faraz
3/5 - (1 vote)
Saaqiya ek nazar jaam se pahle pahle
hum ko jaana hai kahin shaam se pahle pahle .!

Nau-giraftar-e-wafā sai-e-rihaai hai abas
hum bhi uljhe the bahut daam se pahle pahle .!

khush ho aey dil ki mohabbat toh nibha dī tune
log ujaḍ jaate hain anjaam se pahle pahle .!

Ab tire zikr pe hum baat badal dete hain
kitni raġhbat thi tire naam se pahle pahle .!

Saamne umr paḍi hai shab-e-tanhaai ki
wo mujhe chhoḍ gaya shaam se pahle pahle .!

Kitna achchha tha ki hum bhī jiya karte the ‘faraz
ghair-maruf se gumnaam se pahle pahle .!!

साक़िया एक नज़र जाम से पहले पहले
हम को जाना है कहीं शाम से पहले पहले।

नौ-गिरफ़्तार-ए-वफ़ा सई-ए-रिहाई है अबस
हम भी उलझे थे बहुत दाम से पहले पहले।

ख़ुश हो ऐ दिल कि मोहब्बत तो निभा दी तूने
लोग उजड़ जाते हैं अंजाम से पहले पहले।

अब तिरे ज़िक्र पे हम बात बदल देते हैं
कितनी रग़बत थी तिरे नाम से पहले पहले।

सामने उम्र पड़ी है शब-ए-तन्हाई की
वो मुझे छोड़ गया शाम से पहले पहले।

कितना अच्छा था कि हम भी जिया करते थे ‘फ़राज़
ग़ैर-मारूफ़ से गुमनाम से पहले पहले।।