Wahshaten badhti gayin hijr ke aazar ke saath / वहशतें बढ़ती गईं हिज्र के आज़ार के साथ

by Ahmad Faraz
4/5 - (1 vote)
Wahshaten badhti gayin hijr ke aazar ke saath
ab toh hum baat bhi karte nahin ġham-khwar ke saath .!

Hum ne ik umr basar ki hai ġham-e-yaar ke saath
‘meer’ do din na jiye hijr ke aazar ke saath .!

Ab toh hum ghar se nikalte hain toh rakh dete hain
taaq par izzat-e-sadat bhi dastar ke saath .!

Is qadar khauf hai ab shahar kī galiyon mein ki log
chaap sunte hain toh lag jaate hain deewar ke saath .!

Ek toh khwab liye phirte ho galiyon galiyon
us pe takraar bhi karte ho khareedār ke saath .!

Shahar ka shahar hi naseh ho toh kya kījiyega
warna hum rind toh bhiḍ jaate hain do-chaar ke saath .!

Hum ko us shahar mein taamir ka sauda hai jahan
log meamar ko chun dete hain deewar ke saath .!

Jo sharaf ham ko mila koocha-e-janan se ‘faraz
su-e-maqtal bhi gaye hain usi pindaar ke saath .!!

वहशतें बढ़ती गईं हिज्र के आज़ार के साथ
अब तो हम बात भी करते नहीं ग़म-ख़्वार के साथ।

हम ने इक उम्र बसर की है ग़म-ए-यार के साथ
‘मीर’ दो दिन न जिए हिज्र के आज़ार के साथ।

अब तो हम घर से निकलते हैं तो रख देते हैं
ताक़ पर इज़्ज़त-ए-सादात भी दस्तार के साथ।

इस क़दर ख़ौफ़ है अब शहर की गलियों में कि लोग
चाप सुनते हैं तो लग जाते हैं दीवार के साथ।

एक तो ख़्वाब लिए फिरते हो गलियों गलियों
उस पे तकरार भी करते हो ख़रीदार के साथ।

शहर का शहर ही नासेह हो तो क्या कीजिएगा
वर्ना हम रिंद तो भिड़ जाते हैं दो-चार के साथ।

हम को उस शहर में तामीर का सौदा है जहाँ
लोग मेमार को चुन देते हैं दीवार के साथ।

जो शरफ़ हम को मिला कूचा-ए-जानाँ से ‘फ़राज़
सू-ए-मक़्तल भी गए हैं उसी पिंदार के साथ।।