Sanbhal nahin gayi hazrat durust ho gayi hai / सँभल नहीं गई हज़रत दुरुस्त हो गई है

by Jawad Sheikh
4.5/5 - (2 votes)
Sanbhal nahin gayi hazrat durust ho gayi hai
bigaḍ ke aur bhi haalat durust ho gayi hai .!

Ajeeb baat suni hai khuda muaaf kare
ki an-janaab ki sohbat durust ho gayi hai .!

Kharaab shayy hua karti thi koi din pahle
tujhe mili hai toh shohrat durust ho gayi hai .!

Na-jaane kaun mukhatib hai in dinon mujh se
koi bhi ho miri luknat durust ho gayi hai .!

Ġhalat toh khair mohabbat mein aur kya hota
magar ye hai ki tabiyat durust ho gayi hai .!

Abhi gaya hai mujhe koste hue koi
ki us taeen miri niyyat durust ho gayi hai .!

Khula ki us se bichhaḍne ki der thi ‘jawwad
miri ik aur bhi aadat durust ho gayi hai .!!

सँभल नहीं गई हज़रत दुरुस्त हो गई है
बिगड़ के और भी हालत दुरुस्त हो गई है।

अजीब बात सुनी है ख़ुदा मुआफ़ करे
कि आँ-जनाब की सोहबत दुरुस्त हो गई है।

ख़राब शय हुआ करती थी कोई दिन पहले
तुझे मिली है तो शोहरत दुरुस्त हो गई है।

न-जाने कौन मुख़ातिब है इन दिनों मुझ से
कोई भी हो मिरी लुक्नत दुरुस्त हो गई है।

ग़लत तो ख़ैर मोहब्बत में और क्या होता
मगर ये है कि तबीअत दुरुस्त हो गई है।

अभी गया है मुझे कोसते हुए कोई
कि उस तईं मिरी निय्यत दुरुस्त हो गई है।

खुला कि उस से बिछड़ने की देर थी ‘जव्वाद
मिरी इक और भी आदत दुरुस्त हो गई है।।