| Sab ko bachaao khud bhi bacho faasla rakho ab aur kuchh karo na karo faasla rakho .! Khatra toh muft mein bhi nahin lena chahiye ghar se nikal ke mol na lo faasla rakho .! Filhaal is se bachne ka hai ek rasta wo ye ki is se bach ke raho faasla rakho .! Dushman hai aur tarah ka jung aur tarah ki aage baḍho na peechhe hato faasla rakho .! Hal bhī talaash kar liya jaayega an-qareeb Rakhne ki bas ye teen hi cheezen hain in dinon Karte ho jis tarah bure logon se ijtinaab |
सब को बचाओ ख़ुद भी बचो फ़ासला रखो अब और कुछ करो न करो फ़ासला रखो। ख़तरा तो मुफ़्त में भी नहीं लेना चाहिए घर से निकल के मोल न लो फ़ासला रखो। फ़िलहाल इस से बचने का है एक रास्ता वो ये कि इस से बच के रहो फ़ासला रखो। दुश्मन है और तरह का जंग और तरह की आगे बढ़ो न पीछे हटो फ़ासला रखो। हल भी तलाश कर लिया जाएगा अन-क़रीब रखने की बस ये तीन ही चीज़ें हैं इन दिनों करते हो जिस तरह बुरे लोगों से इज्तिनाब |