Sone Se Pahle – Nazm by Nida Fazli / सोने से पहले

by Nida Fazli
4.5/5 - (2 votes)
Har ladki ke
takiye ke neeche
tez blade
gond ki sheeshi
aur kuchh tasweeren hoti hain
sone se pahle
woh kayi tasweeron ki taraash-kharaash se
ek tasveer banaati hai
kisi ki aankhen kisi ke chehre par lagaati hai
kisi ke jism par kisi ka chehra sajaati hai
aur jab is khel se oob jaati hai
toh kisi bhi gosht-post ke aadmi ke saath
lipat kar so jaati hai .!!
हर लड़की के
तकिए के नीचे
तेज़ ब्लेड
गोंद की शीशी
और कुछ तस्वीरें होती हैं
सोने से पहले
वो कई तस्वीरों की तराश-ख़राश से
एक तस्वीर बनाती है
किसी की आँखें किसी के चेहरे पर लगाती है
किसी के जिस्म पर किसी का चेहरा सजाती है
और जब इस खेल से ऊब जाती है
तो किसी भी गोश्त-पोस्त के आदमी के साथ
लिपट कर सो जाती है।