Us ko kho dene ka ehsaas toh kam baaki hai / उस को खो देने का एहसास तो कम बाक़ी है

by Nida Fazli
4.7/5 - (3 votes)
Us ko kho dene ka ehsaas toh kam baaki hai
jo hua woh na hua hota ye ġhum baaki hai .!

Ab na wo chhat hai na wo zeena na angoor kī bel
sirf ik us ko bhulaane kī qasam baaki hai .!

Maine poochha tha sabab peḍ ke gir jaane kā
uth ke maalī ne kaha us ki qalam baaki hai .!

Jung ke faisle maidan mein kahan hote hain
jab talak haafize baaqī hain alam baaki hai .!

Thak ke girta hai hiran sirf shikarī ke liye
jism ghayal hai magar aakhon mein rum baaki hai .!!

उस को खो देने का एहसास तो कम बाक़ी है
जो हुआ वो न हुआ होता ये ग़म बाक़ी है।

अब न वो छत है न वो ज़ीना न अंगूर की बेल
सिर्फ़ इक उस को भुलाने की क़सम बाक़ी है।

मैं ने पूछा था सबब पेड़ के गिर जाने का
उठ के माली ने कहा उस की क़लम बाक़ी है।

जंग के फ़ैसले मैदाँ में कहाँ होते हैं
जब तलक हाफ़िज़े बाक़ी हैं अलम बाक़ी है।

थक के गिरता है हिरन सिर्फ़ शिकारी के लिए
जिस्म घायल है मगर आँखों में रम बाक़ी है।।