Aziyyat apni qismat thi aziyyat se nahin nikle / अज़ीयत अपनी क़िस्मत थी अज़ीयत से नहीं निकले

4.7/5 - (3 votes)
Aziyyat apni qismat thi aziyyat se nahin nikle
juda ho kar bhi hum donon mohabbat se nahin nikle .!

Anaa ke daayron main thay so ek dooje ko kho baithe
magar phir bhi umar bhar donon malaamat se nahin nikle .!

Qadam chokhat pe rakhte hi ye baazu phail jaate hain
mohabbat se nikal aaye hain aadat se nahin nikle .!

Bahut mumkin tha ruk jaate pukaara hi nahin tum ne
tere kooche se hum itni bhi ujlat se nahin nikle .!!

अज़ीयत अपनी क़िस्मत थी अज़ीयत से नहीं निकले
जुदा हो कर भी हम दोनों मोहब्बत से नहीं निकले।

अना के दायरों में थे सो एक दूजे को खो बैठे
मगर फिर भी उम्र भर दोनों मलामत से नहीं निकले।

क़दम चौखट पे रखते ही ये बाज़ू फैल जाते हैं
मोहब्बत से निकल आये हैं आदत से नहीं निकले।

बहुत मुमकिन था रुक जाते पुकारा ही नहीं तुम ने
तेरे कूचे से हम इतनी भी उजलत से नहीं निकले।।