Jab hijr ke shahar mein dhoop utri main jaag pada toh khwab hua | Mohsin Naqvi Ghazal

Jab hijr ke shahar mein dhoop utri main jaag paḍa toh ḳhwab hua : Mohsin Naqvi Ghazal

Jab hijr ke shahar mein dhoop utri main jaag paḍa toh ḳhwab hua
meri soch ḳhizan ki shaaḳh bani tera chehra aur gulaab hua .!

Barfīli rutt ki tez hawa kyon jheel mein kankar phenk gayi
ek aankh ki neend haraam hui ek chaand ka aks ḳharaab hua .!

Tere hijr mein zehn pighalta tha tere qurb mein aankhen jalti hain
tujhe khona ek qayaamat tha tera milna aur azaab hua .!

Bhare shahar mein ek hi chehra tha jise aaj bhi galiyaan dhoondhti hain
kisi subah usi ki dhoop khili kisi raat wahi mahtaab hua .!

Baḍi umar ke baad in aankhon mein koi abr utra teri yaadon ka
mere dil ki zameen aabad hui mere gham ka nagar shaadab hua .!

Kabhi wasl mein mohsin’ dil toota kabhi hijr ki rutt ne laaj rakhi
kisi jism mein aankhen kho baithe koi chehra khuli kitaab hua .!!

जब हिज्र के शहर में धूप उतरी मैं जाग पड़ा तो ख़्वाब हुआ : मोहसिन नक़वी ग़ज़ल 

जब हिज्र के शहर में धूप उतरी मैं जाग पड़ा तो ख़्वाब हुआ
मेरी सोच ख़िज़ाँ की शाख़ बनी तेरा चेहरा और गुलाब हुआ।

बर्फ़ीली रुत की तेज़ हवा क्यूँ झील में कंकर फेंक गई
एक आँख की नींद हराम हुई इक चाँद का अक्स ख़राब हुआ।

तेरे हिज्र में ज़ेहन पिघलता था तेरे क़ुर्ब में आँखें जलती हैं
तुझे खोना एक क़यामत था तेरा मिलना और अज़ाब हुआ।

भरे शहर में एक ही चेहरा था जिसे आज भी गलियाँ ढूँडती हैं
किसी सुब्ह उसी की धूप खिली किसी रात वही महताब हुआ।

बड़ी उम्र के बा’द इन आँखों में कोई अब्र उतरा तेरी यादों का
मेरे दिल की ज़मीं आबाद हुई मेरे ग़म का नगर शादाब हुआ।

कभी वस्ल में मोहसिन’ दिल टूटा कभी हिज्र की रुत ने लाज रखी
किसी जिस्म में आँखें खो बैठे कोई चेहरा खुली किताब हुआ।।