Jaane tu kya dhoondh raha hai basti mein veerane mein / जाने तू क्या ढूँढ रहा है बस्ती में वीराने में

by Ibn-e-Insha
4.5/5 - (2 votes)
Jaane tu kya dhoondh raha hai basti mein veerane mein
laila toh aey qais milegi dil ke daulat-ḳhane mein .!

Janam janam ke saaton dukh hain us ke maathe par tahreer
apna aap mitaana hoga ye tahreer mitaane mein .!

Mahfil mein us shaḳhs ke hote kaif kahan se aata hai
paimaane se aankhon mein ya aankhon se paimaane mein .!

Kis ka kis ka haal sunaya tune aey afsaana-go
hum ne ek tujhi ko dhoonda is saare afsaane mein .!

Is basti mein itne ghar thay itne chehre itne log
aur kisi ke dar pe na pahuncha aisa hosh deewane mein .!!

जाने तू क्या ढूँढ रहा है बस्ती में वीराने में
लैला तो ऐ क़ैस मिलेगी दिल के दौलत-ख़ाने में।

जनम जनम के सातों दुख हैं उस के माथे पर तहरीर
अपना आप मिटाना होगा ये तहरीर मिटाने में।

महफ़िल में उस शख़्स के होते कैफ़ कहाँ से आता है
पैमाने से आँखों में या आँखों से पैमाने में।

किस का किस का हाल सुनाया तूने ऐ अफ़्साना-गो
हम ने एक तुझी को ढूँडा इस सारे अफ़्साने में।

इस बस्ती में इतने घर थे इतने चेहरे इतने लोग
और किसी के दर पे न पहुँचा ऐसा होश दिवाने में।।