| Wo toh khushboo hai hawaon mein bikhar jaayega masAla phool ka hai phool kidhar jaayega .! Hum toh samjhe the ki ik zaḳhm hai bhar jaayega kya khabar thi ki rag-e-jaan mein utar jaayega .! Woh hawaon ki tarah khana-ba-jaan phirta hai ek jhonka hai jo aayega guzar jaayega .! Woh jab aayega toh phir us ki rifaaqat ke liye mausam-e-gul mire aangan mein thahar jaayega .! Aḳhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi Mujh ko tahzeeb ke barzaḳh ka banaya waaris |
वो तो ख़ुशबू है हवाओं में बिखर जाएगा मसअला फूल का है फूल किधर जाएगा। हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा। वो हवाओं की तरह ख़ाना-ब-जाँ फिरता है एक झोंका है जो आएगा गुज़र जाएगा। वो जब आएगा तो फिर उस की रिफ़ाक़त के लिए मौसम-ए-गुल मिरे आँगन में ठहर जाएगा। आख़िरश वो भी कहीं रेत पे बैठी होगी मुझ को तहज़ीब के बर्ज़ख़ का बनाया वारिस |