Kabhi thahar ke suni hai bahaav ki aawaz | Umair Najmi Ghazal

Kabhi thahar ke suni hai bahaav ki aawaz : Umair Najmi Ghazal

Kabhi thahar ke suni hai bahaav ki aawaz
subuk nadi mein kisi sust naav ki aawaz .!

Faza ka shor thame toh daron se aati hai
ghuti ghuti si bachaao bachaao ki aawaz .!

Humare darmiyaan baḍhta sukoot asl mein hai
humare darmiyaan baḍhte tanaav ki aawaz .!

Kisi ko bhejte saason pe bojh paḍta hai
jabhi toh jaao mein dabti hai waao ki aawaz .!

Baḍon mein bahas hai kamre baḍha len aangan tak
main sun raha hoon shajar ke kataav ki aawaz .!

Tabhi toh aag ke nazdeek baithta nahin main
mujhe alaav se aati hai aao ki aawaz .!

Ye iztiraab utarta hai wazn mein mujh par
ye shaairi hai dimaaghi khinchaav ki aawaz .!!

कभी ठहर के सुनी है बहाव की आवाज़ : उमैर नजमी ग़ज़ल

कभी ठहर के सुनी है बहाव की आवाज़
सुबुक नदी में किसी सुस्त नाव की आवाज़।

फ़ज़ा का शोर थमे तो दरों से आती है
घुटी घुटी सी बचाओ बचाओ की आवाज़।

हमारे दरमियाँ बढ़ता सुकूत अस्ल में है
हमारे दरमियाँ बढ़ते तनाव की आवाज़।

किसी को भेजते साँसों पे बोझ पड़ता है
जभी तो जाओ में दबती है वाओ की आवाज़।

बड़ों में बहस है कमरे बढ़ा लें आँगन तक
मैं सुन रहा हूँ शजर के कटाव की आवाज़

तभी तो आग के नज़दीक बैठता नहीं मैं
मुझे अलाव से आती है आओ की आवाज़।

ये इज़्तिराब उतरता है वज़्न में मुझ पर
ये शाइरी है दिमाग़ी खिंचाव की आवाज़।।