Kahin na tha wo dariya jis ka saahil tha main | कहीं न था वो दरिया जिस का साहिल था मैं

by Shariq Kaifi
Kahin na tha wo dariya jis ka saahil tha main
aankh khuli toh ik sahra ke muqabil tha main .!

Haasil kar ke tujh ko ab sharminda sa hoon
tha ik waqt ki sach-much tere qaabil tha main .!

Kis ehsaas-e-jurm ki sab karte hain tawaqqo
ik kirdaar kiya tha jis mein qaatil tha main .!

Kaun tha woh jis ne ye haal kiya hai mera
kis ko itni aasanī se haasil tha main .!

Saari tawajjoh dushman par markuz thi meri
apni taraf se toh bilkul hi ghaafil tha main .!

Jin par main thoḍa sa bhi aasan hua hoon
wahi bata sakte hain kitna mushkil tha main .!

Neend nahin aati thi saazish ke dhadke mein
fateh ho kar bhi kis darja buzdil tha main .!

Ghar mein ḳhud ko qaid toh maine aaj kiya hai
tab bhi tanha tha jab mahfil mahfil tha main .!!

कहीं न था वो दरिया जिस का साहिल था मैं
आँख खुली तो इक सहरा के मुक़ाबिल था मैं।

हासिल कर के तुझ को अब शर्मिंदा सा हूँ
था इक वक़्त कि सच-मुच तेरे क़ाबिल था मैं।

किस एहसास-ए-जुर्म की सब करते हैं तवक़्क़ो
इक किरदार किया था जिस में क़ातिल था मैं।

कौन था वो जिस ने ये हाल किया है मेरा
किस को इतनी आसानी से हासिल था मैं।

सारी तवज्जोह दुश्मन पर मरकूज़ थी मेरी
अपनी तरफ़ से तो बिल्कुल ही ग़ाफ़िल था मैं।

जिन पर मैं थोड़ा सा भी आसान हुआ हूँ
वही बता सकते हैं कितना मुश्किल था मैं।

नींद नहीं आती थी साज़िश के धड़के में
फ़ातेह हो कर भी किस दर्जा बुज़दिल था मैं।

घर में ख़ुद को क़ैद तो मैंने आज किया है
तब भी तन्हा था जब महफ़िल महफ़िल था मैं।।