Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahin | वो दिल-नवाज़ है लेकिन नज़र-शनास नहीं

Wo dil nawaz hai lekin nazar shanaas nahin
mira ilaaj mire chara-gar ke paas nahin .!

Taḍap rahe hain zabaan par kayi sawal magar
mire liye koi shaayaan-e-iltimaas nahin .!

Tire jilau mein bhi dil kaanp kaanp uthta hai
mire mizaaj ko aasudgi bhi raas nahin .!

Kabhi kabhi jo tire qurb mein guzaare thay
ab un dinon ka tasawwur bhi mere paas nahin .!

Guzar rahe hain ajab marhalon se deeda-o-dil
sahar ki aas toh hai zindagi ki aas nahin .!

Mujhe ye dar hai tiri aarzoo na mit jaaye
bahut dinon se tabiyat miri udaas nahin .!!

वो दिल-नवाज़ है लेकिन नज़र-शनास नहीं
मिरा इलाज मिरे चारा-गर के पास नहीं।

तड़प रहे हैं ज़बाँ पर कई सवाल मगर
मिरे लिए कोई शायान-ए-इल्तिमास नहीं।

तिरे जिलौ में भी दिल काँप काँप उठता है
मिरे मिज़ाज को आसूदगी भी रास नहीं।

कभी कभी जो तिरे क़ुर्ब में गुज़ारे थे
अब उन दिनों का तसव्वुर भी मेरे पास नहीं।

गुज़र रहे हैं अजब मरहलों से दीदा-ओ-दिल
सहर की आस तो है ज़िंदगी की आस नहीं।

मुझे ये डर है तिरी आरज़ू न मिट जाए
बहुत दिनों से तबियत मिरी उदास नहीं।।