Na pas-e-falak na sar-e-zameen main kahin nahin | Umair Najmi Ghazal

Na pas-e-falak na sar-e-zameen main kahin nahin : Umair Najmi Ghazal

Na pas-e-falak na sar-e-zameen main kahin nahin
ba-ḳhuda talaasha hai har kahin main kahin nahin .!

Ye jo aaine ke hai ru-baru ye hoon main ki tu
tire honth aakhen tiri jabeen main kahin nahin .!

Ye jahan tamasha hai aur us ne taraasha hai
woh tamasha-gar woh tamashbeen main kahin nahin .!

Dam-e-avvalin se ye khoj thi ki kahan hoon main
ye pata chala dam-e-aaḳhrin main kahin nahin .!

Ye hawa-e-kun mein fana ki dhun ise tu bhi sun
mire saath gaa main kahin nahin main kahin nahin .!

Tu ba-ghaur dekh abhi mujhe kisi taur dekh
kahin ho na jaaye mujhe yaqeen main kahin nahin .!

Kayi baar jhaanka hai waqt mein baḍi door tak
hain kuchh aur log tire qarin main kahin nahin .!!

न पस-ए-फ़लक न सर-ए-ज़मीं मैं कहीं नहीं : उमैर नजमी ग़ज़ल

न पस-ए-फ़लक न सर-ए-ज़मीं मैं कहीं नहीं
ब-ख़ुदा तलाशा है हर कहीं मैं कहीं नहीं।

ये जो आइने के है रूबरू ये हूँ मैं कि तू
तिरे होंठ आँखें तिरी जबीं मैं कहीं नहीं।

ये जहाँ तमाशा है और उस ने तराशा है
वो तमाशा-गर वो तमाशबीं मैं कहीं नहीं।

दम-ए-अव्वलीं से ये खोज थी कि कहाँ हूँ मैं
ये पता चला दम-ए-आख़रीं मैं कहीं नहीं।

ये हवा-ए-कुन में फ़ना की धुन इसे तू भी सुन
मिरे साथ गा मैं कहीं नहीं मैं कहीं नहीं।

तू ब-ग़ौर देख अभी मुझे किसी तौर देख
कहीं हो न जाए मुझे यक़ीं मैं कहीं नहीं।

कई बार झाँका है वक़्त में बड़ी दूर तक
हैं कुछ और लोग तिरे क़रीं मैं कहीं नहीं।।