Mujhe hansna pada aakhir | मुझे हँसना पड़ा आख़िर

by Shariq Kaifi
Mujhe hansna pada aakhir : Shariq Kaifi Nazm

Mujhe hansna pada aakhir 
unhin baaton pe
jin par main bahut naraaz tha us se
ye ik-tarfa mohabbat
yun bhi itna dard deti hai
ki is mein beech ka rasta kabhi mumkin nahin hota
wahi jhukta hai
jis ko dusra darkaar hota hai
kisi qeemat pe chahe jo bhi ho jaaye .!!

मुझे हँसना पड़ा आख़िर : शारिक़ कैफ़ी की नज़्म

मुझे हँसना पड़ा आख़िर
उन्हीं बातों पे
जिन पर मैं बहुत नाराज़ था उस से
ये इक-तरफ़ा मोहब्बत
यूँ भी इतना दर्द देती है
कि इस में बीच का रस्ता कभी मुमकिन नहीं होता
वही झुकता है
जिस को दूसरा दरकार होता है
किसी क़ीमत पे चाहे जो भी हो जाए।।