Maine logon ko na logon ne mujhe dekha tha | मैंने लोगों को न लोगों ने मुझे देखा था

by Abid Malik
Maine logon ko na logon ne mujhe dekha tha
sirf us raat andheron ne mujhe dekha tha .!

Poochhta phirta hoon main apna pata jangal se
aakhiri baar darakhton ne mujhe dekha tha .!

Yun in aakhon mein rahti nahin soorat meri
aakhir us shaḳhs ke khwabon ne mujhe dekha tha .!

Is liye kuchh bhi saleeqe se nahin kar paata
ghar mein bikhri hui cheezon ne mujhe dekha tha .!

Doobte waqt bachaane nahin aaye lekin
yahi kaafī hai ki apnon ne mujhe dekha tha .!!

मैंने लोगों को न लोगों ने मुझे देखा था
सिर्फ़ उस रात अँधेरों ने मुझे देखा था।

पूछता फिरता हूँ मैं अपना पता जंगल से
आख़िरी बार दरख़्तों ने मुझे देखा था।

यूँही इन आँखों में रहती नहीं सूरत मेरी
आख़िर उस शख़्स के ख़्वाबों ने मुझे देखा था।

इस लिए कुछ भी सलीक़े से नहीं कर पाता
घर में बिखरी हुई चीज़ों ने मुझे देखा था।

डूबते वक़्त बचाने नहीं आए लेकिन
यही काफ़ी है कि अपनों ने मुझे देखा था।।