Husn ko behijaab hona tha | हुस्न को बेहिजाब होना था

by Asrarul Haq Majaz
Please Rate this Poetry!
Husn ko behijaab hona tha
shauq ko kaamyab hona tha .!

Hijr mein kaif-e-iztiraab na poochh
khoon-e-dil bhi sharaab hona tha .!

Tere jalwon mein ghir gaya aaḳhir
zarre ko aaftab hona tha .!

Kuchh tumhari nigaah kaafir thi
kuchh mujhe bhi kharaab hona tha .!

Raat taaron ka tootna bhi ‘majaz
baaiis-e-iztiraab hona tha .!!

हुस्न को बे-हिजाब होना था
शौक़ को कामयाब होना था।

हिज्र में कैफ़-ए-इज़्तिराब न पूछ
ख़ून-ए-दिल भी शराब होना था।

तेरे जल्वों में घिर गया आख़िर
ज़र्रे को आफ़्ताब होना था।

कुछ तुम्हारी निगाह काफ़िर थी
कुछ मुझे भी ख़राब होना था।

रात तारों का टूटना भी ‘मजाज़
बाइस-ए-इज़्तिराब होना था।।