Gaye mausam mein jo khilte the gulaabon ki tarah | गए मौसम में जो खिलते थे गुलाबों की तरह

by Parveen Shakir
Gaye mausam mein jo khilte the gulaabon ki tarah
dil pe utrenge wahi khwab azaabon ki tarah .!

Raakh ke dher pe ab raat basar karni hai
jal chuke hain mire kheme mire khwabon ki tarah .!

SaAt-e-deed ki aariz hain gulaabi ab tak
awwalin lamhon ke gulnaar hijaabon ki tarah .!

Woh samundar hai toh phir rooh ko shadab kare
tishnagi kyom mujhe deta hai saraabon ki tarah .!

Ghair-mumkin hai tire ghar ke guaabon ka shumar
mere riste hue zaḳhmon ke hisaabon ki tarah .!

Yaad toh hongi woh baaten tujhe ab bhi lekin
shelf mein rakkhi hui band kitāboñ ki tarah .!

Kaun jaane ki naye saal mein tu kis ko paḍhe
tera meyaar badalta hai nisaabon ki tarah .!

Shokh ho jaati hai ab bhi tiri aakhon ki chamak
gaahe gaahe tire dilchasp jawaabon ki tarah .!

Hijr ki shab miri tanhaai pe dastak degi
teri khushbu mire khoye hue khwabon ki tarah .!!

गए मौसम में जो खिलते थे गुलाबों की तरह
दिल पे उतरेंगे वही ख़्वाब अज़ाबों की तरह।

राख के ढेर पे अब रात बसर करनी है
जल चुके हैं मिरे ख़ेमे मिरे ख़्वाबों की तरह।

साअत-ए-दीद कि आरिज़ हैं गुलाबी अब तक
अव्वलीं लम्हों के गुलनार हिजाबों की तरह।

वो समुंदर है तो फिर रूह को शादाब करे
तिश्नगी क्यूँ मुझे देता है सराबों की तरह।

ग़ैर-मुमकिन है तिरे घर के गुलाबों का शुमार
मेरे रिसते हुए ज़ख़्मों के हिसाबों की तरह।

याद तो होंगी वो बातें तुझे अब भी लेकिन
शेल्फ़ में रक्खी हुई बंद किताबों की तरह।

कौन जाने कि नए साल में तू किस को पढ़े
तेरा मेआ’र बदलता है निसाबों की तरह।

शोख़ हो जाती है अब भी तिरी आँखों की चमक
गाहे गाहे तिरे दिलचस्प जवाबों की तरह।

हिज्र की शब मिरी तन्हाई पे दस्तक देगी
तेरी ख़ुश-बू मिरे खोए हुए ख़्वाबों की तरह।।