Zara si der jale jal ke raakh ho jaaye | ज़रा सी देर जले जल के राख हो जाए

by Ammar Iqbal
Zara si der jale jal ke raakh ho jaaye
woh raushni de bhale jal ke raakh ho jaaye .!

Woh aaftab jise sab salaam karte hain
jo waqt par na dhale jal ke raakh ho jaaye .!

Main door ja ke kahin baansuri bajaaunga
bala se rome jale jal ke raakh ho jaaye .!

Woh ek lams-e-gurezan hai aatish-e-be-soz
mujhe lagaaye gale jal ke raakh ho jaaye .!

Koi charagh bache subah tak toh taariki
usi charag-tale jal ke raakh ho jaaye .!!

ज़रा सी देर जले जल के राख हो जाए
वो रौशनी दे भले जल के राख हो जाए।

वो आफ़्ताब जिसे सब सलाम करते हैं
जो वक़्त पर न ढले जल के राख हो जाए।

मैं दूर जा के कहीं बाँसुरी बजाऊँगा
बला से रोम जले जल के राख हो जाए।

वो एक लम्स-ए-गुरेज़ाँ है आतिश-ए-बे-सोज़
मुझे लगाए गले जल के राख हो जाए।

कोई चराग़ बचे सुब्ह तक तो तारीकी
उसी चराग़-तले जल के राख हो जाए।।