Jaise har zehan ko zanjeer se dar lagta hai | जैसे हर ज़ेहन को ज़ंजीर से डर लगता है

by Khalil Ur Rehman Qamar
Jaise har zehan ko zanjeer se dar lagta hai
peer-o-murshid mujhe har peer se dar lagta hai .!

Maqtab-e-fikr ki bohataat jahan hoti hai
tarjuma theek hai tafseer se dar lagta hai .!

Baat kah dunga toh kal us se mukar sakta hoon
haaath roko mujhe tehreer se dar lagta hai .!

Jis mein taqdeer badlne ki sahoolat na mile
aisi likhi hui taqdeer se dar lagta hai .!

Jis se chup chaap zameeron ko sulaaya jaaye
aise kam-zarf ki tadbeer se dar lagta hai .!!

Khalil Ur Rehman Qamar

जैसे हर ज़ेहन को ज़ंजीर से डर लगता है
पीर-ओ-मुर्शद मुझे हर पीर से डर लगता है।

मक़्तब-ए-फ़िक्र की बोहतात जहाँ होती है
तर्जुमा ठीक है तफ़सीर से डर लगता है।

बात कह दूंगा तो कल उस से मुकर सकता हूँ
हाथ रोको मुझे तहरीर से डर लगता है।

जिस में तक़दीर बदलने की सहूलत न मिले
ऐसी लिखी हुई तक़दीर से डर लगता है।

जिस से चुप चाप ज़मीरों को सुलाया जाए
ऐसे कम-ज़र्फ़ की तदबीर से डर लगता है।।

खलील उर रहमान क़मर