Padh – Nazm by Ammar Iqbal | अम्मार इक़बाल की नज़्म – पढ़

by Ammar Iqbal
Ammar Iqbal Nazm “Padh”

Padh insaanon ki tarha nazam padh
insaanon ko nazmon ki tarha padhega
toh shayar ho jaayega

aur shayar ho jaana koi achhi baat nahin hai
nazam padhna achhi baat hai

achhaai aur buraai ke darmiyan deewar ban ja
aur us deewar ke saaye mein baith ke padh

padh us nazam ke naam se us shayar ke naam tak
padhta chala ja

udta chala ja us tak jis ne
tujhe takhleeq kiya .!!

अम्मार इक़बाल की नज़्म “पढ़”

पढ़ इंसानों की तरहा नज़म पढ़
इंसानों को नज़मों की तरहा पढ़ेगा
तो शायर हो जाएगा

और शायर हो जाना कोई अच्छी बात नहीं है
नज़म पढ़ना अच्छी बात है

अच्छाई और बुराई के दरमियाँ दीवार बन जा
और उस दीवार के साये में बैठ के पढ़

पढ़ उस नज़म के नाम से उस शायर के नाम तक
पढता चला जा

उड़ता चला जा उस तक जिस ने
तुझे तख़लीक़ किया।।