Jhooth par us ke bharosa kar liya | झूठ पर उस के भरोसा कर लिया

by Shariq Kaifi
Jhooth par us ke bharosa kar liya
dhoop itni thi ki saaya kar liya .!

Ab humari mushkilen kuchh kam huin
dushmanon ne ek chehra kar liya .!

Haath kya aaya saja kar mahfilen
aur bhi khud ko akela kar liya .!

Haarne ka hausla toh tha nahin
jeet mein dushman ki hissa kar liya .!

Manzilon par hum milen ye tayy hua
waapsi mein saath pakka kar liya .!

Saari duniya se laḍe jis ke liye
ek din us se bhi jhagḍa kar liya .!

Qurb ka us ke utha kar faayeda
hijr ka saamaan ikattha kar liya .!

Guftugu se hal toh kuchh nikla nahin
ranjishon ko aur taaza kar liya .!

Mol tha har cheez ka bazaar mein
hum ne tanhaai ka sauda kar liya .!!

झूठ पर उस के भरोसा कर लिया
धूप इतनी थी कि साया कर लिया।

अब हमारी मुश्किलें कुछ कम हुईं
दुश्मनों ने एक चेहरा कर लिया।

हाथ क्या आया सजा कर महफ़िलें
और भी ख़ुद को अकेला कर लिया।

हारने का हौसला तो था नहीं
जीत में दुश्मन की हिस्सा कर लिया।

मंज़िलों पर हम मिलें ये तय हुआ
वापसी में साथ पक्का कर लिया।

सारी दुनिया से लड़े जिस के लिए
एक दिन उस से भी झगड़ा कर लिया।

क़ुर्ब का उस के उठा कर फ़ाएदा
हिज्र का सामाँ इकट्ठा कर लिया।

गुफ़्तुगू से हल तो कुछ निकला नहीं
रंजिशों को और ताज़ा कर लिया।

मोल था हर चीज़ का बाज़ार में
हम ने तन्हाई का सौदा कर लिया।।