Main qalb-e-ishq hoon wahshat ka ḳhoon kheenchta hoon | मैं क़ल्ब-ए-इश्क़ हूँ वहशत का ख़ून खींचता हूँ

Main qalb-e-ishq hoon wahshat ka ḳhoon kheenchta hoon : Umair Najmi Ghazal

Main qalb-e-ishq hoon wahshat ka ḳhoon kheenchta hoon
idhar udhar se musalsal junoon kheenchta hoon .!

Dhakelta hoon badan se dhuen ke saath malaal
main kash nahin rag-o-pai mein sukoon kheenchta hoon .!

Kabhi kabhi kisi thandi saḍak pe raat gaye
kisi ki di hui jersey se oon kheenchta hoon .!

Shadeed habs ki zad mein jab aaye ḳhitta-e-chashm
tab is zameen ki taraf maansoon kheenchta hoon .!

Kisi ki yaad se bojhal ye tees bhaari din
sabhi guzaarte honge main june kheenchta hoon .!

Udaasiyon ki ragaḍ se bana hoon maqnaatees
so ḳhud mein ghum ka bahut lauh-choon kheenchta hoon .!

Kisi sahaare ki ḳhwaahish ke istiaare hain
ye kaaghazon pe jo aksar sutoon kheenchta hoon .!

Koi sitaara-badan naam poochhta hai to mai
umair’ bol ke ‘najmi ka noon kheenchta hoon .!!

मैं क़ल्ब-ए-इश्क़ हूँ वहशत का ख़ून खींचता हूँ : उमैर नजमी ग़ज़ल

मैं क़ल्ब-ए-इश्क़ हूँ वहशत का ख़ून खींचता हूँ
इधर उधर से मुसलसल जुनून खींचता हूँ।

धकेलता हूँ बदन से धुएँ के साथ मलाल
मैं कश नहीं रग-ओ-पै में सुकून खींचता हूँ।

कभी कभी किसी ठंडी सड़क पे रात गए
किसी की दी हुई जर्सी से ऊन खींचता हूँ।

शदीद हब्स की ज़द में जब आए ख़ित्ता-ए-चश्म
तब इस ज़मीं की तरफ़ मानसून खींचता हूँ।

किसी की याद से बोझल ये तीस भारी दिन
सभी गुज़ारते होंगे मैं जून खींचता हूँ।

उदासियों की रगड़ से बना हूँ मक़्नातीस
सो ख़ुद में ग़म का बहुत लौह-चून खींचता हूँ।

किसी सहारे की ख़्वाहिश के इस्तिआरे हैं
ये काग़ज़ों पे जो अक्सर सुतून खींचता हूँ।

कोई सितारा-बदन नाम पूछता है तो मैं
उमैर’ बोल के नजमी’ का नून खींचता हूँ।।