Woh din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi | वो दिन भी थे कि इन आँखों में इतनी हैरत थी

by Shariq Kaifi
Woh din bhi the ki in aankhon mein itni hairat thi
tamaam baazigaron ko miri zaroorat thi .!

Woh baat soch ke main jis ko muddaton jeeta
bichhaḍte waqt batane ki kya zaroorat thi .!

Pata nahin ye tamanna-e-qurb kab jaagi
mujhe toh sirf usey sochne ki aadat thi .!

Khamoshiyon ne pareshan kiya toh hoga magar
pukaarne ki yahi sirf ek soorat thi .!

Gaye bhi jaan se aur koi mutmaeen na hua
ki phir difaA na karne ki hum pe tohmat thi .!

Kahin pe chook rahe hain ye aaine shayad
nahin toh aks mein ab tak miri shabahat thi .!!

वो दिन भी थे कि इन आँखों में इतनी हैरत थी
तमाम बाज़ीगरों को मिरी ज़रूरत थी।

वो बात सोच के मैं जिस को मुद्दतों जीता
बिछड़ते वक़्त बताने की क्या ज़रूरत थी।

पता नहीं ये तमन्ना-ए-क़ुर्ब कब जागी
मुझे तो सिर्फ़ उसे सोचने की आदत थी।

ख़मोशियों ने परेशाँ किया तो होगा मगर
पुकारने की यही सिर्फ़ एक सूरत थी।

गए भी जान से और कोई मुतमइन न हुआ
कि फिर दिफ़ाअ न करने की हम पे तोहमत थी।

कहीं पे चूक रहे हैं ये आइने शायद
नहीं तो अक्स में अब तक मिरी शबाहत थी।।