Thak gaye ho toh thakan chhod ke ja sakte ho | थक गए हो तो थकन छोड़ के जा सकते हो

by Ammar Iqbal
Thak gaye ho toh thakan chhod ke ja sakte ho
tum mujhe waaqiatan chhod ke ja sakte ho .!

Hum darakhton ko kahan aata hai hijrat karna
tum parinde ho watan chhod ke ja sakte ho .!

Tum se baaton mein kuchh is darja magan hota hoon
mujh ko baaton mein magan chhod ke ja sakte ho .!

Jaane waale se sawaalat nahin hote miyaan
tum yahan apna badan chhod ke ja sakte ho .!

Jaana chaho toh kisi waqt bhi khud se baahar
apne andar ki ghutan chhod ke ja sakte ho .!!

थक गए हो तो थकन छोड़ के जा सकते हो
तुम मुझे वाक़िअतन छोड़ के जा सकते हो।

हम दरख़्तों को कहाँ आता है हिजरत करना
तुम परिंदे हो वतन छोड़ के जा सकते हो।

तुम से बातों में कुछ इस दर्जा मगन होता हूँ
मुझ को बातों में मगन छोड़ के जा सकते हो।

जाने वाले से सवालात नहीं होते मियाँ
तुम यहाँ अपना बदन छोड़ के जा सकते हो।

जाना चाहो तो किसी वक़्त भी ख़ुद से बाहर
अपने अंदर की घुटन छोड़ के जा सकते हो।।