Rang is mausam mein bharna chahiye | रंग इस मौसम में भरना चाहिए

by Anjum Rehbar
Rang is mausam mein bharna chahiye
sochti hoon pyaar karna chahiye .!

Zindagi ko zindagi ke waaste
roz jeena roz marna chahiye .!

Dosti se tajraba ye ho gaya
dushmanon se pyaar karna chahiye .!

Pyaar ka iqraar dil mein ho magar
koi poochhe toh mukarna chahiye .!!

रंग इस मौसम में भरना चाहिए
सोचती हूँ प्यार करना चाहिए।

ज़िंदगी को ज़िंदगी के वास्ते
रोज़ जीना रोज़ मरना चाहिए।

दोस्ती से तजरबा ये हो गया
दुश्मनों से प्यार करना चाहिए।

प्यार का इक़रार दिल में हो मगर
कोई पूछे तो मुकरना चाहिए।।