Kuchh toh hawa bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi | कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी

by Parveen Shakir
Kuchh toh hawa bhi sard thi kuchh tha tira khayal bhi
dil ko ḳhushi ke saath saath hota raha malaal bhi .!

Baat woh aadhi raat ki raat woh poore chaand ki
chaand bhi ain chait ka us pe tira jamaal bhi .!

Sab se nazar bacha ke woh mujh ko kuchh aise dekhta
ek dafaa toh ruk gayi gardish-e-maah-o-saal bhi .!

Dil toh chamak sakega kya phir bhi tarash ke dekh lein
sheesha-giran-e-shahar ke haath ka ye kamaal bhi .!

Us ko na pa sake the jab dil ka ajeeb haal thā
ab jo palat ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi .!

Meri talab tha ek shakhs woh jo nahin mila toh phir
haath duaa se yun gira bhool gaya sawaal bhi .!

Us ki sukhan-taraziyan mere liye bhi dhaal thin
us ki hansi mein chhup gaya apne ghamon ka haal bhi .!

Gaah qareeb-e-shah-rag gaah baeed-e-wahm-o-khwab
us ki rafaqaton mein raat hijr bhi tha visaal bhi .!

Us ke hi baazuon mein aur us ko hi sochte rahe
jism ki khwahishon pe the rooh ke aur jaal bhi .!

Shaam ki na-samajh hawa poochh rahi hai ik pata
mauj-e-hawa-e-ku-e-yaar kuchh toh mira khayal bhi .!!

कुछ तो हवा भी सर्द थी कुछ था तिरा ख़याल भी
दिल को ख़ुशी के साथ साथ होता रहा मलाल भी।

बात वो आधी रात की रात वो पूरे चाँद की
चाँद भी ‘ऐन चैत का उस पे तिरा जमाल भी।

सब से नज़र बचा के वो मुझ को कुछ ऐसे देखता
एक दफ़’अ तो रुक गई गर्दिश-ए-माह-ओ-साल भी।

दिल तो चमक सकेगा क्या फिर भी तरश के देख लें
शीशा-गिरान-ए-शहर के हाथ का ये कमाल भी।

उस को न पा सके थे जब दिल का ‘अजीब हाल था
अब जो पलट के देखिए बात थी कुछ मुहाल भी।

मेरी तलब था एक शख़्स वो जो नहीं मिला तो फिर
हाथ दुआ से यूँ गिरा भूल गया सवाल भी।

उस की सुख़न-तराज़ियाँ मेरे लिए भी ढाल थीं
उस की हँसी में छुप गया अपने ग़मों का हाल भी।

गाह क़रीब-ए-शाह-रग गाह बईद-ए-वहम-ओ-ख़्वाब
उस की रफ़ाक़तों में रात हिज्र भी था विसाल भी।

उस के ही बाज़ुओं में और उस को ही सोचते रहे
जिस्म की ख़्वाहिशों पे थे रूह के और जाल भी।

शाम की ना-समझ हवा पूछ रही है इक पता
मौज-ए-हवा-ए-कू-ए-यार कुछ तो मिरा ख़याल भी।।