Rang-o-ras ki hawas aur bas | रंग-ओ-रस की हवस और बस

by Ammar Iqbal
Rang-o-ras ki hawas aur bas
mas’ala dastaras aur bas .!

Yun buni hain ragen jism ki
ek nas tas se mas aur bas .!

Sab tamasha-e-kun khatm shud
kah diya us ne bas aur bas .!

Kya hai mabain-e-sayyad-o-said
ek chak-e-qafas aur bas .!

Us musavvir ka har shahkar
saath painsath baras aur bas .!!

रंग-ओ-रस की हवस और बस
मसअला दस्तरस और बस।

यूँ बुनी हैं रगें जिस्म की
एक नस टस से मस और बस।

सब तमाशा-ए-कुन ख़त्म शुद
कह दिया उस ने बस और बस।

क्या है माबैन-ए-सय्याद-ओ-सैद
एक चाक-ए-क़फ़स और बस।

उस मुसव्विर का हर शाहकार
साठ पैंसठ बरस और बस।।