Sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha | सहर ने अंधी गली की तरफ़ नहीं देखा

by Manzar Bhopali
Sahar ne andhi gali ki taraf nahin dekha
jise talab thi usi ki taraf nahin dekha .!

Qalaq tha sab ko samundar ki beqarari ka
kisi ne muḍ ke nadi ki taraf nahin dekha .!

Kachoke deti rahin ghurbaten mujhe lekin
miri ana ne kisi ki taraf nahin dekha .!

Safar ke beech ye kaisa badal gaya mausam
ki phir kisi ne kisi ki taraf nahin dekha .!

Tamaam umr guzaari khayal mein jis ke
tamaam umr usi ki taraf nahin dekha .!

Yazeediyat ka andhera tha saare koofe mein
kisi ne sibt-e-nabi ki taraf nahin dekha .!

Jo aaine se mila aaine pe jhunjhlaya
kisi ne apni kami ki taraf nahin dekha .!

Mizaaj-e-eid bhi samjha tujhe bhi pahchana
bas ek apne hi jee ki taraf nahin dekha .!!

सहर ने अंधी गली की तरफ़ नहीं देखा
जिसे तलब थी उसी की तरफ़ नहीं देखा।

क़लक़ था सब को समुंदर की बेक़रारी का
किसी ने मुड़ के नदी की तरफ़ नहीं देखा।

कचोके देती रहीं ग़ुर्बतें मुझे लेकिन
मिरी अना ने किसी की तरफ़ नहीं देखा।

सफ़र के बीच ये कैसा बदल गया मौसम
कि फिर किसी ने किसी की तरफ़ नहीं देखा।

तमाम उम्र गुज़ारी ख़याल में जिस के
तमाम उम्र उसी की तरफ़ नहीं देखा।

यज़ीदियत का अंधेरा था सारे कूफ़े में
किसी ने सिब्त-ए-नबी की तरफ़ नहीं देखा।

जो आइने से मिला आइने पे झुँझलाया
किसी ने अपनी कमी की तरफ़ नहीं देखा।

मिज़ाज-ए-ईद भी समझा तुझे भी पहचाना
बस एक अपने ही जी की तरफ़ नहीं देखा।।